Tu safar mera
Hai tu hi meri manzil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Tu mera Khuda
Tu hi dua mein shaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Mujhe aazmaati hai teri kami
Meri har kami ko hai tu laazmi
Junoon hai mera
Banoo main tere qaabil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Yeh rooh bhi meri
Yeh jism bhi mera
Utna mera nahin
Jitna hua tera
Tune diya hai jo
Woh dard hi sahi
Tujhse mila hai toh
Inaam hai mera
Mera asmaan dhoondhe teri zameen
Meri har kami ko hai tu laazmi
Zameen pe na sahi
Toh aasmaan mein aa mil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Maana ki teri maujoodgi se
Ye zindagaani mehroom hai
Jeene ka koi dooja tareeka
Na mere dil ko maaloom hai
Tujhko main kitni
Shiddat se chaahun
Chaahe toh rehna tu bekhabar
Mohtaaj manzil ka toh nahin hai
Ye ek tarfa mera safar safar
Khoobsurat hai manzil se bhi
Meri har kami ko hai tu laazmi
Adhura ho ke bhi
Hai ishq mera qaamil
Tere bina guzara
Ae dil hai mushkil
Ek tarfa pyaar ki taakat hi kuchh aur hoti hai
Auron ke rishte ki tarah yeh do logon mein
Nahin bant ti Sirf mera haq hai iss pe
Ae dil hai mushkil